jab se main KHud-shanas ho gaya hun
jab se maiñ ḳhud-shanās ho gayā huuñ
ḳhāmushī kā nivās ho gayā huuñ
ġham se yuuñ rū-shanās ho gayā huuñ
bevgī kā libās ho gayā huuñ
dosto tum uchhāl do havā meñ
maiñ ki ḳhālī gilās ho gayā huuñ
kitne sāvan baras chuke mujh par
jalte sahrā kī pyaas ho gayā huuñ
tū mile to maiñ sabz ho jā.ūñ
hijr meñ zard ghaas ho gayā huuñ
maut kī ḳhushbū aa rahī hai 'munīr'
maiñ ki bīmār kī saañs ho gayā huuñ
jab se main KHud-shanas ho gaya hun
KHamushi ka niwas ho gaya hun
gham se yun ru-shanas ho gaya hun
bewgi ka libas ho gaya hun
dosto tum uchhaal do hawa mein
main ki KHali gilas ho gaya hun
kitne sawan baras chuke mujh par
jalte sahra ki pyas ho gaya hun
tu mile to main sabz ho jaun
hijr mein zard ghas ho gaya hun
maut ki KHushbu aa rahi hai 'munir'
main ki bimar ki sans ho gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.