jab se mera muqaddar KHafa ho gaya
jab se merā muqaddar ḳhafā ho gayā
maiñ vafādār se bevafā ho gayā
maiñ ne un ko bhulāne kī khaa.ī qasam
aur haq dostī kā adā ho gayā
jis meñ ḳhud ko bachāne kī tāqat nahīñ
aaj ke daur meñ vo ḳhudā ho gayā
hai lagī aag nafrat kī chāroñ taraf
dekhte dekhte kyā se kyā ho gayā
aadat mānūñgā terā kabhī maiñ nahīñ
haq meñ un ke agar faisla ho gayā
jab se mera muqaddar KHafa ho gaya
main wafadar se bewafa ho gaya
main ne un ko bhulane ki khai qasam
aur haq dosti ka ada ho gaya
jis mein KHud ko bachane ki taqat nahin
aaj ke daur mein wo KHuda ho gaya
hai lagi aag nafrat ki chaaron taraf
dekhte dekhte kya se kya ho gaya
aadat manunga tera kabhi main nahin
haq mein un ke agar faisla ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.