jab se mili hai aane ki unki KHabar mujhe
jab se milī hai aane kī un kī ḳhabar mujhe
lagne lage haiñ achchhe ye dīvār-o-dar mujhe
nafrat kī zad pe aa.e haiñ hālāt is tarah
apnā nahīñ hai lagtā ḳhud apnā hī ghar mujhe
ye bhī sitam-zarīfī-e-taqdīr dekhiye
pahchāntī nahīñ hai koī rahguzar mujhe
ab bhuul kar bhī mujh ko vo kartā nahīñ hai yaad
chāhā thā jis ne dekho kabhī Tuut kar mujhe
dahshat samā ga.ī hai fazāoñ meñ is tarah
lagne lagā hai apne hī saa.e se Dar mujhe
saa.e kī thī talāsh kahāñ aa gayā huuñ maiñ
milte haiñ aaj raah meñ sūkhe shajar mujhe
shāyad ki mere she'roñ meñ kuchh baat hai 'kashish'
pahchānñe lage haiñ ab ahl-e-nazar mujhe
jab se mili hai aane ki un ki KHabar mujhe
lagne lage hain achchhe ye diwar-o-dar mujhe
nafrat ki zad pe aae hain haalat is tarah
apna nahin hai lagta KHud apna hi ghar mujhe
ye bhi sitam-zarifi-e-taqdir dekhiye
pahchanti nahin hai koi rahguzar mujhe
ab bhul kar bhi mujh ko wo karta nahin hai yaad
chaha tha jis ne dekho kabhi Tut kar mujhe
dahshat sama gai hai fazaon mein is tarah
lagne laga hai apne hi sae se Dar mujhe
sae ki thi talash kahan aa gaya hun main
milte hain aaj rah mein sukhe shajar mujhe
shayad ki mere she'ron mein kuchh baat hai 'kashish'
pahchanne lage hain ab ahl-e-nazar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.