jab se rabt kisi se TuTa aksar aisi baat hui
jab se rabt kisī se TuuTā aksar aisī baat huī
yaad ke bādal lahrā.e phir ashkoñ kī barsāt huī
qatl-e-vafā meñ haath thā un kā is ko kis ne jaanā hai
naam pe un ke harf na aaya rusvā merī zaat huī
raat kī tanhā.ī meñ jab bhī yādoñ ke kuchh phuul khile
un ke istiqbāl ko hāzir tāroñ kī bārāt huī
kāhkashāñ kī phulvārī meñ saj kar aaya thā koī
mere jīvan meñ ai logo aisī bhī ik raat huī
pyaar ke rūThe sapne phir aaseb kī sūrat lahrā.e
dil ke zaḳhmoñ kī ḳhushbū se hāsil ye sauġhāt huī
ik din raah meñ rok ke mujh ko kahne lage sunte ho 'ra.īs'
har taḳhlīq tumhārī pyāre aks-e-mahsūsāt huī
jab se rabt kisi se TuTa aksar aisi baat hui
yaad ke baadal lahrae phir ashkon ki barsat hui
qatl-e-wafa mein hath tha un ka is ko kis ne jaana hai
nam pe un ke harf na aaya ruswa meri zat hui
raat ki tanhai mein jab bhi yaadon ke kuchh phul khile
un ke istiqbaal ko hazir taron ki baraat hui
kahkashan ki phulwari mein saj kar aaya tha koi
mere jiwan mein ai logo aisi bhi ek raat hui
pyar ke ruThe sapne phir aaseb ki surat lahrae
dil ke zaKHmon ki KHushbu se hasil ye saughat hui
ek din rah mein rok ke mujh ko kahne lage sunte ho 'rais'
har taKHliq tumhaari pyare aks-e-mahsusat hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.