jab se registan hue hain
jab se registān hue haiñ
sab raste āsān hue haiñ
bīmārī ne mehnat kī hai
tab ik do mehmān hue haiñ
thoḌī ri'āyat de do in ko
na.e na.e insān hue haiñ
aap kī sargoshī se paidā
dīvāroñ ke kaan hue haiñ
dhokā vahī hai pahle vaalā
ham rasman hairān hue haiñ
aap kī jānib se jo aa.e
vo patthar chaTTān hue haiñ
galiyoñ galiyoñ maut bichhī hai
ghar ke ghar zindān hue haiñ
jab se registan hue hain
sab raste aasan hue hain
bimari ne mehnat ki hai
tab ek do mehman hue hain
thoDi ri'ayat de do in ko
nae nae insan hue hain
aap ki sargoshi se paida
diwaron ke kan hue hain
dhoka wahi hai pahle wala
hum rasman hairan hue hain
aap ki jaanib se jo aae
wo patthar chaTTan hue hain
galiyon galiyon maut bichhi hai
ghar ke ghar zindan hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.