jab se surat wo KHwab mein aai
jab se sūrat vo ḳhvāb meñ aa.ī
zindagī iztirāb meñ aa.ī
chhup gayā māhtāb sharmā kar
shoḳhī jab us shabāb meñ aa.ī
abr kyā chiiz hai samajh aayā
mah-jabīñ jab hijāb meñ aa.ī
ek du'ā 'umr-bhar karī ham ne
sun ke qudrat bhī taab meñ aa.ī
'umr-bhar kī ‘ibādateñ de diiñ
tab vo mere hisāb meñ aa.ī
us ke āġhosh meñ panāh milī
zindagī jab 'azāb meñ aa.ī
hai charāġhāñ dil-o-rag-e-jāñ meñ
tū jo ḳhāna-ḳharāb meñ aa.ī
jab se surat wo KHwab mein aai
zindagi iztirab mein aai
chhup gaya mahtab sharma kar
shoKHi jab us shabab mein aai
abr kya chiz hai samajh aaya
mah-jabin jab hijab mein aai
ek du'a 'umr-bhar kari hum ne
sun ke qudrat bhi tab mein aai
'umr-bhar ki ‘ibaadaten de din
tab wo mere hisab mein aai
us ke aaghosh mein panah mili
zindagi jab 'azab mein aai
hai charaghan dil-o-rag-e-jaan mein
tu jo KHana-KHarab mein aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.