jab se tere lahje mein thakan bol rahi hai
jab se tire lahje meñ thakan bol rahī hai
dil meñ mire sūraj kī jalan bol rahī hai
kyuuñ dil ke dhaḌakne kī sadā ho ga.ī maddham
lagtā hai ki sāñsoñ meñ thakan bol rahī hai
kahtī hai ki in'ām hai ye dar-ba-darī kā
paañv meñ jo kāñToñ kī chubhan bol rahī hai
muddat se lahū-rañg hai ashkoñ kī ravānī
zaḳhmoñ meñ zamāne kī dukhan bol rahī hai
ab duur nahīñ khil ke bikhar jaane kā mausam
phūloñ se ye ḳhushbū-e-chaman bol rahī hai
aa jā.egā vo jis se hai milne kī tamannā
'mīnā' ye tire dil kī lagan bol rahī hai
jab se tere lahje mein thakan bol rahi hai
dil mein mere suraj ki jalan bol rahi hai
kyun dil ke dhaDakne ki sada ho gai maddham
lagta hai ki sanson mein thakan bol rahi hai
kahti hai ki in'am hai ye dar-ba-dari ka
panw mein jo kanTon ki chubhan bol rahi hai
muddat se lahu-rang hai ashkon ki rawani
zaKHmon mein zamane ki dukhan bol rahi hai
ab dur nahin khil ke bikhar jaane ka mausam
phulon se ye KHushbu-e-chaman bol rahi hai
aa jaega wo jis se hai milne ki tamanna
'mina' ye tere dil ki lagan bol rahi hai
- Book : Jagti Aakhen (Pg. 68)
- Author : Dr. Meena Naqvi
- Publication : Aiwan-e-Adab Publishers, Delhi-6 (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.