jab se tere mizaj mein chahat nahin rahi
jab se tire mizāj meñ chāhat nahīñ rahī
ham ko bhī tere dar kī zarūrat nahīñ rahī
pathrāv jism-o-jān pe had se guzar gayā
phir yuuñ huā ki dard meñ shiddat nahīñ rahī
din kī thakān raat ko bistar pe le ga.ī
tum ko bhī yaad karne kī fursat nahīñ rahī
tanhā sī ho ga.ī haiñ ye kamroñ meñ sardiyāñ
yādoñ ke is alaav meñ hiddat nahīñ rahī
tum ne bhī apne aap ko masrūf kar liyā
ham ko bhī intizār kī aadat nahīñ rahī
achchhā huā jo tum se ta'alluq nahīñ rahā
din-rāt sochne kī aziyyat nahīñ rahī
jab se tere mizaj mein chahat nahin rahi
hum ko bhi tere dar ki zarurat nahin rahi
pathraw jism-o-jaan pe had se guzar gaya
phir yun hua ki dard mein shiddat nahin rahi
din ki thakan raat ko bistar pe le gai
tum ko bhi yaad karne ki fursat nahin rahi
tanha si ho gai hain ye kamron mein sardiyan
yaadon ke is alaw mein hiddat nahin rahi
tum ne bhi apne aap ko masruf kar liya
hum ko bhi intizar ki aadat nahin rahi
achchha hua jo tum se ta'alluq nahin raha
din-raat sochne ki aziyyat nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.