jab se tumne de diya hai dil ka nazrana mujhe
jab se tum ne de diyā hai dil kā nazrāna mujhe
kah rahī hai saarī duniyā terā dīvāna mujhe
dosto roko na mujh ko aa rahā huuñ vajd meñ
yaad ik muddat pe aaya hai sanam-ḳhāna mujhe
raah taktā hogā koī merā manzil ke qarīb
shab kī tārīkī meñ ai dil raah dikhlānā mujhe
aao tanhā.ī meñ chal kar dil kī kuchh bāteñ kareñ
shahr meñ mumkin nahīñ mil jaa.e farzāna mujhe
hosh kī bāteñ karūñ kyā hosh baaqī hai kahāñ
jab se tum ne kar diyā hai apnā dīvāna mujhe
shaiḳh jī chalte bane haiñ le ke ahd-e-tark-e-mai
raat bhar kosā kareñge jām-o-paimāna mujhe
jī meñ aatā hai 'zafar' maiñ phir chaman ko chhoḌ duuñ
raas aatā hai hamesha se hī vīrāna mujhe
jab se tum ne de diya hai dil ka nazrana mujhe
kah rahi hai sari duniya tera diwana mujhe
dosto roko na mujh ko aa raha hun wajd mein
yaad ek muddat pe aaya hai sanam-KHana mujhe
rah takta hoga koi mera manzil ke qarib
shab ki tariki mein ai dil rah dikhlana mujhe
aao tanhai mein chal kar dil ki kuchh baaten karen
shahr mein mumkin nahin mil jae farzana mujhe
hosh ki baaten karun kya hosh baqi hai kahan
jab se tum ne kar diya hai apna diwana mujhe
shaiKH ji chalte bane hain le ke ahd-e-tark-e-mai
raat bhar kosa karenge jam-o-paimana mujhe
ji mein aata hai 'zafar' main phir chaman ko chhoD dun
ras aata hai hamesha se hi virana mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.