jab se tu bad-guman hai pyare
jab se tū bad-gumān hai pyāre
ik musībat meñ jaan hai pyāre
dil lagānā mazāq samjhe ho
saḳht ye imtihān hai pyāre
dil kī rūdād kyā kahūñ tum se
ḳhūñ-chakāñ dāstān hai pyāre
baat karte hī phuul jhaḌte haiñ
vāh-vā kyā zabān hai pyāre
nahīñ rahtī kisī kī shaan mudām
ye ḳhudā hī kī shaan hai pyāre
tum bhalā kyoñ kisī pe zulm karo
fitna-gar āsmān hai pyāre
sar-e-mahfil vo mujh se bole 'qadīr'
ḳhuub tarz-e-bayān hai pyāre
jab se tu bad-guman hai pyare
ek musibat mein jaan hai pyare
dil lagana mazaq samjhe ho
saKHt ye imtihan hai pyare
dil ki rudad kya kahun tum se
KHun-chakan dastan hai pyare
baat karte hi phul jhaDte hain
wah-wa kya zaban hai pyare
nahin rahti kisi ki shan mudam
ye KHuda hi ki shan hai pyare
tum bhala kyon kisi pe zulm karo
fitna-gar aasman hai pyare
sar-e-mahfil wo mujh se bole 'qadir'
KHub tarz-e-bayan hai pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.