jab se tu kaba-e-dil mein hai sanam ki surat
jab se tū ka.aba-e-dil meñ hai sanam kī sūrat
dair mujh ko nazar aatā hai haram kī sūrat
is qadar chuur hai ā.īna-e-ehsās mirā
ab na vo rang-e-masarrat hai na ġham kī sūrat
ye haqīqat hai mohabbat bhī asar kartī hai
kabhī tiryāk kī sūrat kabhī sam kī sūrat
rāmish-o-rang se hai shahr-e-nigārāñ ma.amūr
dil hai vīrān magar shahr-e-adam kī sūrat
is qadar vaqt ke sūraj ne tapāyā 'at.har'
ro diye dekh ke ham abr-e-karam kī sūrat
jab se tu kaba-e-dil mein hai sanam ki surat
dair mujh ko nazar aata hai haram ki surat
is qadar chur hai aaina-e-ehsas mera
ab na wo rang-e-masarrat hai na gham ki surat
ye haqiqat hai mohabbat bhi asar karti hai
kabhi tiryak ki surat kabhi sam ki surat
ramish-o-rang se hai shahr-e-nigaran mamur
dil hai viran magar shahr-e-adam ki surat
is qadar waqt ke suraj ne tapaya 'athar'
ro diye dekh ke hum abr-e-karam ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.