jab se ujDa hai mere dil ka jahan
jab se ujḌā hai mire dil kā jahāñ
mausam-e-gul ho gayā fasl-e-ḳhizāñ
le rahī hai zindagī har gaam par
mujh se mere hausloñ kā imtihāñ
jab hisār-e-zāt se bāhar huā
ho gayā har shaḳhs merā ham-zabāñ
jis ko tere shahr se nisbat huī
ḳhush na aaya us ko koī gulsitāñ
sānahe dil par guzarte hī rahe
hausle lekin rahe har dam javāñ
dostoñ kī mehrbānī kam nahīñ
kis liye karte ho fikr-e-dushmanāñ
aaj tak jis ko koī būjhā nahīñ
zindagī 'aḳhtar' hai aisī chīstāñ
jab se ujDa hai mere dil ka jahan
mausam-e-gul ho gaya fasl-e-KHizan
le rahi hai zindagi har gam par
mujh se mere hauslon ka imtihan
jab hisar-e-zat se bahar hua
ho gaya har shaKHs mera ham-zaban
jis ko tere shahr se nisbat hui
KHush na aaya us ko koi gulsitan
sanahe dil par guzarte hi rahe
hausle lekin rahe har dam jawan
doston ki mehrbani kam nahin
kis liye karte ho fikr-e-dushmanan
aaj tak jis ko koi bujha nahin
zindagi 'aKHtar' hai aisi chistan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.