jab se us shoKH-e-gul-andam ko uryan dekha
jab se us shoKH-e-gul-andam ko uryan dekha
Inayat Ali Khan Inayat
MORE BYInayat Ali Khan Inayat
jab se us shoḳh-e-gul-andām ko 'uryāñ dekhā
phir gulistāñ meñ na sū-e-gul-e-ḳhandāñ dekhā
un ke pahchān kā kal le gayā parda koī
be-naqāb aaj sanam kā ruḳh-e-tābāñ dekhā
leñDī kutte kī tarah ġhair paḌā rahtā hai
dar-e-jānāñ pe na sang aur na darbāñ dekhā
aqd meñ phūloñ meñ dā'vat meñ haiñ har jā maujūd
ham ne nā-ḳhvāñda sadā shaiḳh ko mehmāñ dekhā
kūcha-e-zulf-e-sanam meñ hai juoñ kā maskan
qaidiyoñ se kabhī ḳhālī na ye zindāñ dekhā
bech kar mahram-e-zartār ḳharīdā us ne
jis parī-rū ne 'ināyat' tirā dīvāñ dekhā
jab se us shoKH-e-gul-andam ko 'uryan dekha
phir gulistan mein na su-e-gul-e-KHandan dekha
un ke pahchan ka kal le gaya parda koi
be-naqab aaj sanam ka ruKH-e-taban dekha
lenDi kutte ki tarah ghair paDa rahta hai
dar-e-jaanan pe na sang aur na darban dekha
aqd mein phulon mein da'wat mein hain har ja maujud
hum ne na-KHwanda sada shaiKH ko mehman dekha
kucha-e-zulf-e-sanam mein hai juon ka maskan
qaidiyon se kabhi KHali na ye zindan dekha
bech kar mahram-e-zartar KHarida us ne
jis pari-ru ne 'inayat' tera diwan dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.