jab se wo aa gae mere ghar mein
jab se vo aa ga.e mire ghar meñ
raushnī bhar ga.ī muqaddar meñ
lauT aaya huuñ maiñ kināre se
pheñk kar tishnagī samundar meñ
kis kī ḳhushbū rahī sar-e-rasta
kaun chaltā rahā barābar meñ
ik ḳhalish thī jo mere dil meñ rahī
ek saudā thā jo rahā sar meñ
tujh ko khoyā to phir kisī sūrat
zindagī aa sakī na mehvar meñ
aisā lagtā hai aaj kā insān
lauT aaya hai ahd-e-patthar meñ
jab se wo aa gae mere ghar mein
raushni bhar gai muqaddar mein
lauT aaya hun main kinare se
phenk kar tishnagi samundar mein
kis ki KHushbu rahi sar-e-rasta
kaun chalta raha barabar mein
ek KHalish thi jo mere dil mein rahi
ek sauda tha jo raha sar mein
tujh ko khoya to phir kisi surat
zindagi aa saki na mehwar mein
aisa lagta hai aaj ka insan
lauT aaya hai ahd-e-patthar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.