jab se ye ijtinab hai pyare
jab se ye ijtināb hai pyāre
dil ko aur iztirāb hai pyāre
ab jo terā itaab hai pyāre
zindagī kāmyāb hai pyāre
yuuñ taġhāful-shi.ār ban jaanā
kyā vafā kā javāb hai pyāre
haañ tirā is meñ kuchh qusūr nahīñ
merī qismat ḳharāb hai pyāre
aa ki tere baġhair ab merī
zindagānī azaab hai pyāre
maiñ sarāpā nigāh-e-shauq huuñ aur
tū mujassam shabāb hai pyāre
tujh se milne bhī to nahīñ detā
ye zamāna ḳharāb hai pyāre
ishq bhī be-nazīr hai vallāh
husn gar lā-javāb hai pyāre
jo na parde meñ bhī tujhe chhoḌe
vo nazar kāmyāb hai pyāre
jis pe terī nazar ho vo zarra
rashk-e-sad-āftāb hai pyāre
apne 'tal.at' kī qadr jaan ki vo
terā ḳhāna-ḳharāb hai pyāre
jab se ye ijtinab hai pyare
dil ko aur iztirab hai pyare
ab jo tera itab hai pyare
zindagi kaamyab hai pyare
yun taghaful-shiar ban jaana
kya wafa ka jawab hai pyare
han tera is mein kuchh qusur nahin
meri qismat KHarab hai pyare
aa ki tere baghair ab meri
zindagani azab hai pyare
main sarapa nigah-e-shauq hun aur
tu mujassam shabab hai pyare
tujh se milne bhi to nahin deta
ye zamana KHarab hai pyare
ishq bhi be-nazir hai wallah
husn gar la-jawab hai pyare
jo na parde mein bhi tujhe chhoDe
wo nazar kaamyab hai pyare
jis pe teri nazar ho wo zarra
rashk-e-sad-aftab hai pyare
apne 'talat' ki qadr jaan ki wo
tera KHana-KHarab hai pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.