jab shaKH-e-tamanna pe koi phul khila hai
jab shāḳh-e-tamannā pe koī phuul khilā hai
ummīd ke sahrāoñ meñ tūfān uThā hai
tū merī nigāhoñ meñ jise DhūñDh rahā hai
vo husn mire sher ke parde meñ chhupā hai
tham tham ke chamakte rahe palkoñ pe sitāre
ruk ruk ke tire dard kā afsāna kahā hai
apne hī muqaddar kā koī phuul na jaagā
ik umr bahāroñ ne lahū merā piyā hai
is tarah se badlī hai gulistāñ kī haqīqat
shabnam ke ḳhunuk jism pe shāloñ kī ridā hai
shāyad hai vahī merī mohabbat kā hayūlā
ik saaya jo chup-chāp darīche meñ khaḌā hai
taḳhlīq isī se huī naġhmāt kī duniyā
'iqbāl' ko jo ġham tirī ḳhushiyoñ se milā hai
jab shaKH-e-tamanna pe koi phul khila hai
ummid ke sahraon mein tufan uTha hai
tu meri nigahon mein jise DhunDh raha hai
wo husn mere sher ke parde mein chhupa hai
tham tham ke chamakte rahe palkon pe sitare
ruk ruk ke tere dard ka afsana kaha hai
apne hi muqaddar ka koi phul na jaga
ek umr bahaaron ne lahu mera piya hai
is tarah se badli hai gulistan ki haqiqat
shabnam ke KHunuk jism pe shaalon ki rida hai
shayad hai wahi meri mohabbat ka hayula
ek saya jo chup-chap dariche mein khaDa hai
taKHliq isi se hui naghmat ki duniya
'iqbaal' ko jo gham teri KHushiyon se mila hai
- Book : auraq salnama magazines (Pg. 521)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.