jab sham-Dhale hijr tera mujhse mila tha
jab shām-Dhale hijr tirā mujh se milā thā
maiñ ashkoñ ke jalte hue ḳhemoñ meñ khaḌā thā
in.ām-zada chehroñ pe ḳhiffat thī ḳhushī kī
darbār meñ ik tan se judā sar bhī paḌā thā
ye dariyā tire saath mujhe le hī chale the
sad-shukr samundar ne mujhe thaam liyā thā
maiñ ḳhālī tahī-dāmāñ mazāfāt kā baasī
gaañv ke muqaddar se tirā shahr baḌā thā
āyāt ko nezoñ pe chaḌhā kar to na pūchho
zanjīr-zanī karte hue shahr meñ kyā thā
jo aaj mire darpa.e-āzār huā hai
ye ġham to mire ḳhuun ke TukḌoñ pe palā thā
us shaḳhs ko āzādī mirī maar na Daale
jo rauzan-e-zindāñ se mujhe jhāñk rahā thā
jab sham-Dhale hijr tera mujh se mila tha
main ashkon ke jalte hue KHemon mein khaDa tha
inam-zada chehron pe KHiffat thi KHushi ki
darbar mein ek tan se juda sar bhi paDa tha
ye dariya tere sath mujhe le hi chale the
sad-shukr samundar ne mujhe tham liya tha
main KHali tahi-daman mazafat ka basi
ganw ke muqaddar se tera shahr baDa tha
aayat ko nezon pe chaDha kar to na puchho
zanjir-zani karte hue shahr mein kya tha
jo aaj mere darpae-azar hua hai
ye gham to mere KHun ke TukDon pe pala tha
us shaKHs ko aazadi meri mar na Dale
jo rauzan-e-zindan se mujhe jhank raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.