jab shama hansi to parwane masum shararat kar baiThe
jab shama hansi to parwane masum shararat kar baiThe
Raushan Banarasi
MORE BYRaushan Banarasi
jab sham.a hañsī to parvāne ma.asūm sharārat kar baiThe
nāzuk sā jigar aur ye jur.at sho.ale se mohabbat kar baiThe
allah re junūn-e-ḳhud-ġharzī āzād hue jab ahl-e-qafas
ta.amīr-e-nasheman par qurbāñ gulshan kī latāfat kar baiThe
dekhā jo unheñ kuchh kah na sake kyā jāniye kyā dil meñ aaya
ashkoñ ke sahāre chupke se iz.hār-e-mohabbat kar baiThe
ronā to likhā thā qismat meñ haañ un se mile jab aa.ī hañsī
kambaḳht ye aañsū bhī na thame tauhīn-e-masarrat kar baiThe
guzregī jo dil par jheleñge hañs hañs ke ajal se kheleñge
jo hashr bhī hogā dekheñge ab ham to mohabbat kar baiThe
jiine kā salīqa thā jin ko vo maut ke hāthoñ miT na sake
tadbīr pe jin kā bas na chalā qismat kī shikāyat kar baiThe
phūloñ kī jo rag-rag meñ hai ravāñ vo ḳhuun hai qalb-e-ḳhār meñ bhī
gul par ho agar ye raaz ayaañ kāñTe se mohabbat kar baiThe
tāroñ kī tarah raushan hī rahe vo sabza-o-gul ke dāman par
jo qatra-e-shabnam sūraj kī kirnoñ se baġhāvat kar baiThe
jab shama hansi to parwane masum shararat kar baiThe
nazuk sa jigar aur ye jurat shoale se mohabbat kar baiThe
allah re junun-e-KHud-gharzi aazad hue jab ahl-e-qafas
tamir-e-nasheman par qurban gulshan ki latafat kar baiThe
dekha jo unhen kuchh kah na sake kya jaaniye kya dil mein aaya
ashkon ke sahaare chupke se izhaar-e-mohabbat kar baiThe
rona to likha tha qismat mein han un se mile jab aai hansi
kambaKHt ye aansu bhi na thame tauhin-e-masarrat kar baiThe
guzregi jo dil par jhelenge hans hans ke ajal se khelenge
jo hashr bhi hoga dekhenge ab hum to mohabbat kar baiThe
jine ka saliqa tha jin ko wo maut ke hathon miT na sake
tadbir pe jin ka bas na chala qismat ki shikayat kar baiThe
phulon ki jo rag-rag mein hai rawan wo KHun hai qalb-e-KHar mein bhi
gul par ho agar ye raaz ayan kanTe se mohabbat kar baiThe
taron ki tarah raushan hi rahe wo sabza-o-gul ke daman par
jo qatra-e-shabnam suraj ki kirnon se baghawat kar baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.