jab shikam mein chaar dane ho gae
jab shikam meñ chaar daane ho ga.e
ham gadāgar sab siyāne ho ga.e
ik tirī dahlīz thī pahle-pahal
ab bahattar āstāne ho ga.e
ab koī rishta nayā darpesh hai
zaḳhm pichhle sab purāne ho ga.e
ik shajar ko kaaT kar kamra banā
sab parinde be-Thikāne ho ga.e
ye ‘alālat ye buḌhāpā ye vabā
ḳhātme ke sab bahāne ho ga.e
sab liye phirte haiñ dil TuuTā huā
qais ke kitne gharāne ho ga.e
shā'irī had se tajāvuz kar ga.ī
aur qaumoñ ke tarāne ho ga.e
jab shikam mein chaar dane ho gae
hum gadagar sab siyane ho gae
ek teri dahliz thi pahle-pahal
ab bahattar aastane ho gae
ab koi rishta naya darpesh hai
zaKHm pichhle sab purane ho gae
ek shajar ko kaT kar kamra bana
sab parinde be-Thikane ho gae
ye ‘alalat ye buDhapa ye waba
KHatme ke sab bahane ho gae
sab liye phirte hain dil TuTa hua
qais ke kitne gharane ho gae
sha'iri had se tajawuz kar gai
aur qaumon ke tarane ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.