jab sud-o-ziyan ki fikr nahin phir sud-o-ziyan ka nam bhi kya
jab sud-o-ziyan ki fikr nahin phir sud-o-ziyan ka nam bhi kya
Abdul Aziz Fitrat
MORE BYAbdul Aziz Fitrat
jab sūd-o-ziyāñ kī fikr nahīñ phir sūd-o-ziyāñ kā naam bhī kyā
ḳhauf-e-sitam-e-sayyād bhī kyoñ andesha-e-dāna-o-dām bhī kyā
kyā ilm thā bejā ḳhadshe bhī ham-rāh-e-havādis ā.eñge
TūTeñge jo dil par sadme to chheḌeñge hameñ auhām bhī kyā
paiġhām ab un ke aate haiñ tum bas meñ nahīñ dil bas meñ nahīñ
kyā tanz qayāmat-ḳhez hai ye vo bhejte haiñ paiġhām bhī kyā
afsāna-e-ishq sunā lekin us meñ kahīñ apnā naam na thā
ham miT ga.e duniyā se lekin baaqī nahīñ apnā naam bhī kyā
jis hausla-e-yak-gām se vo tai kar gayā ziist kī har manzil
chhin jā.egā 'fitrat' se āḳhir vo hausla-e-yak-gām bhī kyā
jab sud-o-ziyan ki fikr nahin phir sud-o-ziyan ka nam bhi kya
KHauf-e-sitam-e-sayyaad bhi kyon andesha-e-dana-o-dam bhi kya
kya ilm tha beja KHadshe bhi ham-rah-e-hawadis aaenge
TuTenge jo dil par sadme to chheDenge hamein auham bhi kya
paigham ab un ke aate hain tum bas mein nahin dil bas mein nahin
kya tanz qayamat-KHez hai ye wo bhejte hain paigham bhi kya
afsana-e-ishq suna lekin us mein kahin apna nam na tha
hum miT gae duniya se lekin baqi nahin apna nam bhi kya
jis hausla-e-yak-gam se wo tai kar gaya zist ki har manzil
chhin jaega 'fitrat' se aaKHir wo hausla-e-yak-gam bhi kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.