jab taghaful ka silsila hi nahin
jab taġhāful kā silsila hī nahīñ
ishq kā phir to kuchh maza hī nahīñ
āñkhoñ āñkhoñ meñ guftugū to huī
kuchh zabāñ se kahā gayā hī nahīñ
mausam-e-gul ne lī hai añgḌā.ī
vahshat-e-dil tujhe pata hī nahīñ
terī itnī hasīn duniyā meñ
be-tamannā jiyā gayā hī nahīñ
jaane kaisī hai ye masīhā.ī
mundamil zaḳhm-e-dil huā hī nahīñ
toḌ de dam kahīñ na tishna-labī
is jagah koī mai-kada hī nahīñ
āḳhirash ro paḌe ghane bādal
bār-e-ġham jab sahā gayā hī nahīñ
laakh chāhā ki bhuul jaa.eñ unheñ
ham se aisā kiyā gayā hī nahīñ
dostī hai mirī sabhī se 'tarab'
dushmanī kyā hai jāntā hī nahīñ
jab taghaful ka silsila hi nahin
ishq ka phir to kuchh maza hi nahin
aankhon aankhon mein guftugu to hui
kuchh zaban se kaha gaya hi nahin
mausam-e-gul ne li hai angDai
wahshat-e-dil tujhe pata hi nahin
teri itni hasin duniya mein
be-tamanna jiya gaya hi nahin
jaane kaisi hai ye masihai
mundamil zaKHm-e-dil hua hi nahin
toD de dam kahin na tishna-labi
is jagah koi mai-kada hi nahin
aaKHirash ro paDe ghane baadal
bar-e-gham jab saha gaya hi nahin
lakh chaha ki bhul jaen unhen
hum se aisa kiya gaya hi nahin
dosti hai meri sabhi se 'tarab'
dushmani kya hai jaanta hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.