Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab tak aasudgi nahin hoti

Muhammad Hasan Ahsan Maliganvi

jab tak aasudgi nahin hoti

Muhammad Hasan Ahsan Maliganvi

MORE BYMuhammad Hasan Ahsan Maliganvi

    jab tak āsūdgī nahīñ hotī

    zindagī zindagī nahīñ hotī

    ḳhūn-e-dil de ke dekh to kaise

    shāḳh-e-hasrat harī nahīñ hotī

    chāñd ko chāñdnī atā kar

    mere ghar raushnī nahīñ hotī

    kis adā se vo aate haiñ dil meñ

    dil ko bhī āgahī nahīñ hotī

    gumrahī rahnumā hai manzil

    gumrahī gumrahī nahīñ hotī

    daar par chaḌh to jaa.eñ chaḌhne se

    zindagī sarmadī nahīñ hotī

    maiñ jalātā huuñ sham-e-dil 'ahsan'

    haa.e kyoñ raushnī nahīñ hotī

    jab tak aasudgi nahin hoti

    zindagi zindagi nahin hoti

    KHun-e-dil de ke dekh to kaise

    shaKH-e-hasrat hari nahin hoti

    chand ko chandni ata kar di

    mere ghar raushni nahin hoti

    kis ada se wo aate hain dil mein

    dil ko bhi aagahi nahin hoti

    gumrahi rahnuma hai manzil ki

    gumrahi gumrahi nahin hoti

    dar par chaDh to jaen chaDhne se

    zindagi sarmadi nahin hoti

    main jalata hun sham-e-dil 'ahsan'

    hae kyon raushni nahin hoti

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now