jab tak abr-e-ishq na barsa
jab tak abr-e-ishq na barsā
husn shu.ūr-e-zāt ko tarsā
niiñd meñ bhī jaarī rahtā hai
paañv meñ hai jo ek safar sā
mere saath rahā hai har pal
us ke kho jaane kā Dar sā
saarī duniyā ghuum aa.ī huuñ
chain na paayā maiñ ne ghar sā
dil kī vahshat sahrā jaisī
dariyā merī chashm-e-tar sā
ug aaya hai sahn meñ mere
dard kā ik chhitnār shajar sā
vaqt kī chup meñ DhūñD rahī huuñ
koī pal ik achchhī ḳhabar sā
chashm-e-'sadaf' meñ tair rahā hai
terī yaad kā ek guhar sā
jab tak abr-e-ishq na barsa
husn shuur-e-zat ko tarsa
nind mein bhi jari rahta hai
panw mein hai jo ek safar sa
mere sath raha hai har pal
us ke kho jaane ka Dar sa
sari duniya ghum aai hun
chain na paya main ne ghar sa
dil ki wahshat sahra jaisi
dariya meri chashm-e-tar sa
ug aaya hai sahn mein mere
dard ka ek chhitnar shajar sa
waqt ki chup mein DhunD rahi hun
koi pal ek achchhi KHabar sa
chashm-e-'sadaf' mein tair raha hai
teri yaad ka ek guhar sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.