jab tak ki mujhko dil se pukara nahin gaya
jab tak ki mujh ko dil se pukārā nahīñ gayā
mahfil meñ us kī maiñ bhī dubāra nahīñ gayā
darvāze pīchhe siskiyāñ letā rahā koī
ruḳhsat kā ab talak vo nazārā nahīñ gayā
ik ik madad ke badle hazāroñ madad kareñ
ehsān phir bhī us kā utārā nahīñ gayā
maiñ laakh kām-kāj meñ masrūf huuñ magar
vo shaḳhs zehn-o-dil se utārā nahīñ gayā
vo hī zabāñ meñ talḳhiyāñ vo hī hasad ġhurūr
andāz ab talak ye tumhārā nahīñ gayā
'tāriq' hazār tarh se koshish to kī magar
us ke baġhair vaqt guzārā nahīñ gayā
jab tak ki mujh ko dil se pukara nahin gaya
mahfil mein us ki main bhi dubara nahin gaya
darwaze pichhe siskiyan leta raha koi
ruKHsat ka ab talak wo nazara nahin gaya
ek ek madad ke badle hazaron madad karen
ehsan phir bhi us ka utara nahin gaya
main lakh kaam-kaj mein masruf hun magar
wo shaKHs zehn-o-dil se utara nahin gaya
wo hi zaban mein talKHiyan wo hi hasad ghurur
andaz ab talak ye tumhaara nahin gaya
'tariq' hazar tarh se koshish to ki magar
us ke baghair waqt guzara nahin gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.