jab tak ki tabiat se tabiat nahin milti
jab tak ki tabī'at se tabī'at nahīñ miltī
hoñ pyaar kī bāteñ bhī to lazzat nahīñ miltī
ārām ghaḌī-bhar kisī karvaT nahīñ miltā
rāhat kisī pahlū shab-e-furqat nahīñ miltī
jab tak vo khiñche baiThe haiñ dil un se rukā hai
jab tak nahīñ milte vo tabī'at nahīñ miltī
jiite haiñ to hotī hai un āñkhoñ se nadāmat
marte haiñ to us lab se ijāzat nahīñ miltī
is zohd pe nāzāñ na ho zāhid se ye kah do
tasbīh phirāne hī se jannat nahīñ miltī
kyā DhūñDhte haiñ gor-e-ġharībāñ meñ vo aa kar
kis Kushta-e-raftār kī turbat nahīñ miltī
kis tarah mire ghar vo 'hafīz' aa.eñ ki un ko
ġhairoñ kī mudārāt se fursat nahīñ miltī
jab tak ki tabi'at se tabi'at nahin milti
hon pyar ki baaten bhi to lazzat nahin milti
aaram ghaDi-bhar kisi karwaT nahin milta
rahat kisi pahlu shab-e-furqat nahin milti
jab tak wo khinche baiThe hain dil un se ruka hai
jab tak nahin milte wo tabi'at nahin milti
jite hain to hoti hai un aankhon se nadamat
marte hain to us lab se ijazat nahin milti
is zohd pe nazan na ho zahid se ye kah do
tasbih phirane hi se jannat nahin milti
kya DhunDhte hain gor-e-ghariban mein wo aa kar
kis Kushta-e-raftar ki turbat nahin milti
kis tarah mere ghar wo 'hafiz' aaen ki un ko
ghairon ki mudaraat se fursat nahin milti
- Book : Kulliyat-e-Hafeez Jaunpuri (Pg. Ghazal Number-236 Page Number-207)
- Author : Tufail Ahmad Ansari
- Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.