jab tak mausam bit na jae
jab tak mausam biit na jaa.e
chehroñ par kyā surḳhī aa.e
dil ab un ke naaz uThā.e
pyaar kiyā hai choT bhī khaa.e
ishq meñ ye lamhāt bhī aa.e
simTī dhuup na phaile saa.e
luuT jahāñ tak luuTā jaa.e
shāyad phir ye daur na aa.e
aag bhī barse abr bhī chhā.e
mausam kyā jo tanhā aa.e
un ko dar dar DhūñDne vaalā
ho saktā hai ḳhud kho jaa.e
dil par ab kyā qahr nahīñ hai
kis kī aañkh meñ aañsū aa.e
apnī chhāñv meñ chalne vaalā
pahle har dīvār girā.e
saaya to hai dhuup kā TukḌā
chhāñv kahāñ jo Thahrā jaa.e
ab tak manzil ek tasavvur
aage jo kuchh vaqt batā.e
'anjum' koī to apnā hogā
sochā lekin soch na paa.e
jab tak mausam bit na jae
chehron par kya surKHi aae
dil ab un ke naz uThae
pyar kiya hai choT bhi khae
ishq mein ye lamhat bhi aae
simTi dhup na phaile sae
luT jahan tak luTa jae
shayad phir ye daur na aae
aag bhi barse abr bhi chhae
mausam kya jo tanha aae
un ko dar dar DhunDne wala
ho sakta hai KHud kho jae
dil par ab kya qahr nahin hai
kis ki aankh mein aansu aae
apni chhanw mein chalne wala
pahle har diwar girae
saya to hai dhup ka TukDa
chhanw kahan jo Thahra jae
ab tak manzil ek tasawwur
aage jo kuchh waqt batae
'anjum' koi to apna hoga
socha lekin soch na pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.