jab tak mera sukun aziyyat nahin bana
jab tak mirā sukūn aziyyat nahīñ banā
maiñ ḳhvāb hī rahā huuñ haqīqat nahīñ banā
likkhā nahīñ kabhī use sheroñ ke darmiyāñ
jo sher raushnī kī alāmat nahīñ banā
is kār-e-āshiqī meñ baḌī bhuul ho ga.ī
vo shauq hī rahā hai aqīdat nahīñ banā
apnā alag mizāj thā chup-chāp kaaT dī
maiñ shahr-e-dil-fareb kī zīnat nahīñ banā
ye haath ghis chale haiñ usī kār-e-shauq meñ
'āsim' koī bhī aks salāmat nahīñ banā
jab tak mera sukun aziyyat nahin bana
main KHwab hi raha hun haqiqat nahin bana
likkha nahin kabhi use sheron ke darmiyan
jo sher raushni ki alamat nahin bana
is kar-e-ashiqi mein baDi bhul ho gai
wo shauq hi raha hai aqidat nahin bana
apna alag mizaj tha chup-chap kaT di
main shahr-e-dil-fareb ki zinat nahin bana
ye hath ghis chale hain usi kar-e-shauq mein
'asim' koi bhi aks salamat nahin bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.