jab tak nazar mein tum rahe nazzargi rahi
jab tak nazar meñ tum rahe nazzārgī rahī
nūr-e-nazar ye aañkh tumheñ tāktī rahī
ik zulm hai ki jiinā paḌā hai tire baġhair
zinda-dilī nahīñ hai to kyoñ zindagī rahī
masrūr kar gayā mujhe apnā banā ke vo
mujh ko tamām umr ajab be-ḳhudī rahī
us māh-rū kā apnī zabāñ se liyā thā naam
mere siyāh ghar meñ baḌī raushnī rahī
mamnūn maiñ rahā tire ikrām kā bahut
sar bhī jhukā rahā va nigah bhī jhakkī rahī
tere binā thā kaun mirī manzil-e-murād
ik baar maiñ jo bhaTkā to āvārgī rahī
ye marz hī thā aisā koī kartā kyā ilaaj
sab chārāgar the saath pa bechārgī rahī
jab tak chalā gayā na vo hadd-e-nazar se duur
tab tak mirī nigāh use dekhtī rahī
maiñ bhī ajiib justujū meñ mubtalā rahā
mil kar bhī ham se mujh ko na āsūdgī rahī
'sāgar' tire kalām meñ kuchh baat thī zarūr
jaane ke baa'd duniyā tujhe DhūñDhtī rahī
jab tak nazar mein tum rahe nazzargi rahi
nur-e-nazar ye aankh tumhein takti rahi
ek zulm hai ki jina paDa hai tere baghair
zinda-dili nahin hai to kyon zindagi rahi
masrur kar gaya mujhe apna bana ke wo
mujh ko tamam umr ajab be-KHudi rahi
us mah-ru ka apni zaban se liya tha nam
mere siyah ghar mein baDi raushni rahi
mamnun main raha tere ikram ka bahut
sar bhi jhuka raha wa nigah bhi jhakki rahi
tere bina tha kaun meri manzil-e-murad
ek bar main jo bhaTka to aawargi rahi
ye marz hi tha aisa koi karta kya ilaj
sab chaaragar the sath pa bechaargi rahi
jab tak chala gaya na wo hadd-e-nazar se dur
tab tak meri nigah use dekhti rahi
main bhi ajib justuju mein mubtala raha
mil kar bhi hum se mujh ko na aasudgi rahi
'sagar' tere kalam mein kuchh baat thi zarur
jaane ke ba'd duniya tujhe DhunDhti rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.