jab tak shabd ke dip jalenge sab aaenge tab tak yar
jab tak shabd ke diip jaleñge sab ā.eñge tab tak yaar
kaun utregā dil ke andhe bhāoñ ke matlab tak yaar
chand baras kī raah meñ kitne sāthī jīvan chhoḌ ga.e
jaane kitne ghaav lageñge umr kaTegī jab tak yaar
pūchh na kyā thī pichhle pahar kī dard bharī an-jānī chīḳh
jo man ke pātāl se uTThī rah ga.ī aa ke lab tak yaar
kab bājegā gaañv ke marghaT ke pare mandir ke sañkh
kab kaalā jaadū TūTegā raat Dhalegī kab tak yaar
'sāz' ye sheroñ kī sargoshī tirī mirī andar kī baat
rusvā ho kar rah jā.egī pahuñch ga.ī gar sab tak yaar
jab tak shabd ke dip jalenge sab aaenge tab tak yar
kaun utrega dil ke andhe bhaon ke matlab tak yar
chand baras ki rah mein kitne sathi jiwan chhoD gae
jaane kitne ghaw lagenge umr kaTegi jab tak yar
puchh na kya thi pichhle pahar ki dard bhari an-jaani chiKH
jo man ke patal se uTThi rah gai aa ke lab tak yar
kab bajega ganw ke marghaT ke pare mandir ke sankh
kab kala jadu TuTega raat Dhalegi kab tak yar
'saz' ye sheron ki sargoshi teri meri andar ki baat
ruswa ho kar rah jaegi pahunch gai gar sab tak yar
- Book : khamoshi bol uthi hai (Pg. 15)
- Author : abdul ahad saaz
- Publication : qalam publications bapn khote street bombay (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.