jab talak be-KHudi nahin hoti
jab talak be-ḳhudī nahīñ hotī
ishq meñ chāshnī nahīñ hotī
koshisheñ maiñ ne kiiñ bahut lekin
hādsoñ meñ kamī nahīñ hotī
jab se chhoḌā hai us ne saath mirā
dil ko rāhat kabhī nahīñ hotī
aap chāheñ to ruuTh sakte haiñ
ham se to be-ruḳhī nahīñ hotī
ham ne jaañ tak nisār kar Daalī
un ko ab bhī ḳhushī nahīñ hotī
jab na hoñ husn-e-yār kī bāteñ
shā.erī shā.erī nahīñ hotī
pahle hotī thiiñ baiTh kar bāteñ
ab mulāqāt bhī nahīñ hotī
un ke milne se 'dāġh' dil ko mire
ab to koī ḳhushī nahīñ hotī
jab talak be-KHudi nahin hoti
ishq mein chashni nahin hoti
koshishen main ne kin bahut lekin
hadson mein kami nahin hoti
jab se chhoDa hai us ne sath mera
dil ko rahat kabhi nahin hoti
aap chahen to ruTh sakte hain
hum se to be-ruKHi nahin hoti
hum ne jaan tak nisar kar Dali
un ko ab bhi KHushi nahin hoti
jab na hon husn-e-yar ki baaten
shaeri shaeri nahin hoti
pahle hoti thin baiTh kar baaten
ab mulaqat bhi nahin hoti
un ke milne se 'dagh' dil ko mere
ab to koi KHushi nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.