jab talak hai badan mein jaan aazi
jab talak hai badan meñ jaan 'āzī'
jaarī rakkheñge ham uḌaan 'āzī'
zindagī lā-javāb kar deñge
haath meñ aa.ī gar kamān 'āzī'
chand sāñsoñ kā jaam chhoḌā hai
ziist ne luuT lī dukān 'āzī'
ḳhud pe kitnā ġhurūr karte haiñ
log jhūTī dikhā ke shaan 'āzī'
saarī achchhā.iyoñ ko pal bhar meñ
bhuul jaatā hai ye jahān 'āzī'
haal pūchho na ham ġharīboñ kā
ziist jaise koī masān 'āzī'
jab talak hai badan mein jaan 'azi'
jari rakkhenge hum uDan 'azi'
zindagi la-jawab kar denge
hath mein aai gar kaman 'azi'
chand sanson ka jam chhoDa hai
zist ne luT li dukan 'azi'
KHud pe kitna ghurur karte hain
log jhuTi dikha ke shan 'azi'
sari achchhaiyon ko pal bhar mein
bhul jata hai ye jahan 'azi'
haal puchho na hum gharibon ka
zist jaise koi masan 'azi'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.