jab talak ishq ka afsana mukammal hoga
jab talak ishq kā afsāna mukammal hogā
ek tūfān bapā zehn meñ har pal hogā
dil dhaḌakne kī sadā itnī kahāñ hotī hai
paas hī shor machātā koī pāgal hogā
itnā āsān nahīñ dasht-e-tamannā kā safar
kahīñ dariyā to koī rāsta daldal hogā
tishnagī dasht kī sūrat hai laboñ par baiThī
kab tirā haath mire vāste chhāgal hogā
manzil-e-dard se bhī hogā guzarnā tujh ko
tab kahīñ jā ke tirā aa.ina saiqal hogā
āḳhirī sang-e-masāfat hai kahāñ kyā mālūm
kyā ḳhabar kab ye safar apnā mukammal hogā
dil ye kahtā hai chalo dekh hī aa.eñ chal kar
aql kahtī hai ki darvāza muqaffal hogā
us taraf khul ke barastā hai bahut abr-e-ḳhayāl
chand lamhoñ meñ ilāqa mirā jal-thal hogā
chāhte hī nahīñ iblīs siyāsat ke 'mujīb'
mas.ala kaise ta.assub kā yahāñ hal hogā
jab talak ishq ka afsana mukammal hoga
ek tufan bapa zehn mein har pal hoga
dil dhaDakne ki sada itni kahan hoti hai
pas hi shor machata koi pagal hoga
itna aasan nahin dasht-e-tamanna ka safar
kahin dariya to koi rasta daldal hoga
tishnagi dasht ki surat hai labon par baiThi
kab tera hath mere waste chhagal hoga
manzil-e-dard se bhi hoga guzarna tujh ko
tab kahin ja ke tera aaina saiqal hoga
aaKHiri sang-e-masafat hai kahan kya malum
kya KHabar kab ye safar apna mukammal hoga
dil ye kahta hai chalo dekh hi aaen chal kar
aql kahti hai ki darwaza muqaffal hoga
us taraf khul ke barasta hai bahut abr-e-KHayal
chand lamhon mein ilaqa mera jal-thal hoga
chahte hi nahin iblis siyasat ke 'mujib'
masala kaise tassub ka yahan hal hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.