jab talak raushni-e-fikr-o-nazar baqi hai
jab talak raushnī-e-fikr-o-nazar baaqī hai
tīrgī laakh ho imkān-e-sahar baaqī hai
kis ke jalvoñ kā ye āñkhoñ meñ asar baaqī hai
husn baaqī hai na ab husn-e-nazar baaqī hai
ye bhī ik mo.ajiza-e-josh-e-junūñ hai ki nahīñ
pā-shikasta huuñ magar 'azm-e-safar baaqī hai
ye bhī kyā nazm-e-jahāñ hai ki azal se ab tak
bas vahī silsila-e-shām-o-sahar baaqī hai
aaj yuuñ ābla-pāyān-e-junūñ guzre haiñ
ik charāġhāñ sā sar-e-rāh-guzar baaqī hai
maiñ ḳhizāñ-dīda-o-āvāra sahī phir bhī 'surūr'
mere naġhmoñ meñ bahāroñ kā asar baaqī hai
jab talak raushni-e-fikr-o-nazar baqi hai
tirgi lakh ho imkan-e-sahar baqi hai
kis ke jalwon ka ye aankhon mein asar baqi hai
husn baqi hai na ab husn-e-nazar baqi hai
ye bhi ek moajiza-e-josh-e-junun hai ki nahin
pa-shikasta hun magar 'azm-e-safar baqi hai
ye bhi kya nazm-e-jahan hai ki azal se ab tak
bas wahi silsila-e-sham-o-sahar baqi hai
aaj yun aabla-payan-e-junun guzre hain
ek charaghan sa sar-e-rah-guzar baqi hai
main KHizan-dida-o-awara sahi phir bhi 'surur'
mere naghmon mein bahaaron ka asar baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.