jab talak wo sath tha ek gungunati dhup thi
jab talak vo saath thā ik gungunātī dhuup thī
har taraf hī sardiyoñ kī muskurātī dhuup thī
ḳhvāb meñ aayā thā koī raushnī pahne hue
aur chehre par sunahrī jhilmilātī dhuup thī
khil uThe the zaḳhm saare surḳh phūloñ kī tarah
vo tumhārī yaad thī yā mo’jazātī dhuup thī
chal diyā thā maiñ akelā ḳhud se milne ke liye
duur tak banjar zamīñ thī chilchilātī dhuup thī
shaam kī parchhā.iyoñ meñ raaz ye mujh par khulā
is zamīñ par har taraf saa.e banātī dhuup thī
āsmāñ se jaise utreñ titliyoñ ke qāfile
bādaloñ kī oT se yuuñ chhan ke aatī dhuup thī
ab to 'āsif' kohr ne Dere jamā.e haiñ magar
har taraf us kī hañsī kī chahchahātī dhuup thī
jab talak wo sath tha ek gungunati dhup thi
har taraf hi sardiyon ki muskuraati dhup thi
KHwab mein aaya tha koi raushni pahne hue
aur chehre par sunahri jhilmilati dhup thi
khil uThe the zaKHm sare surKH phulon ki tarah
wo tumhaari yaad thi ya mo’jazati dhup thi
chal diya tha main akela KHud se milne ke liye
dur tak banjar zamin thi chilchilati dhup thi
sham ki parchhaiyon mein raaz ye mujh par khula
is zamin par har taraf sae banati dhup thi
aasman se jaise utren titliyon ke qafile
baadalon ki oT se yun chhan ke aati dhup thi
ab to 'asif' kohr ne Dere jamae hain magar
har taraf us ki hansi ki chahchahati dhup thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.