jab talak zikr aap ka na kiya
jab talak zikr aap kā na kiyā
ham ne ḳhud se bhī rābta na kiyā
TuuT jaane ke ḳhauf se ham ne
aa.ine kā bhī sāmnā na kiyā
ik qayāmat bapā rahī dil meñ
lekin un se koī gila na kiyā
hijr-nāme pe dastaḳhat to kiye
aur bichhaḌne kā faisla na kiyā
bol sakte the ham bhī lekin ham
chup rahe un ko be-mazā na kiyā
us taraf ḳhāmushī kuchh aisī thī
ham ne iz.hār-e-mudda.ā na kiyā
kam hī dāmoñ kahīñ se mil jaatā
ḳhud hī dil kā kabhī patā na kiyā
kaise 'iqrār' haiñ suḳhan-var vo
harf ko sūrat-e-diyā na kiyā
jab talak zikr aap ka na kiya
hum ne KHud se bhi rabta na kiya
TuT jaane ke KHauf se hum ne
aaine ka bhi samna na kiya
ek qayamat bapa rahi dil mein
lekin un se koi gila na kiya
hijr-name pe dastaKHat to kiye
aur bichhaDne ka faisla na kiya
bol sakte the hum bhi lekin hum
chup rahe un ko be-maza na kiya
us taraf KHamushi kuchh aisi thi
hum ne izhaar-e-muddaa na kiya
kam hi damon kahin se mil jata
KHud hi dil ka kabhi pata na kiya
kaise 'iqrar' hain suKHan-war wo
harf ko surat-e-diya na kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.