jab tasawwur mein wo aane-jaane lage
jab tasavvur meñ vo āne-jāne lage
diip palkoñ pe ham bhī jalāne lage
jaam āñkhoñ se jab vo pilāne lage
log sañbhle hue laḌkhaḌāne lage
aaj phir mujh ko un kā ḳhayāl aa gayā
ashk āñkhoñ meñ phir jhilmilāne lage
be-vafā.ī nahīñ hai mire ḳhuun meñ
ye samajhne meñ un ko zamāne lage
be-ġharaz jo kisī se mile hī nahīñ
dostī ke vo mā'nī batāne lage
ham to apne masā.il meñ uljhe rahe
chāñd par log bastī basāne lage
ye huā hai asar gardish-e-vaqt kā
ham se apne bhī nazreñ churāne lage
zulm dahshat kā vo daur aayā ki ham
apne saa.e se bhī ḳhauf khāne lage
'aks' rab kā ye ehsān ham par huā
tā.ir-e-fikr ham bhī uḌāne lage
jab tasawwur mein wo aane-jaane lage
dip palkon pe hum bhi jalane lage
jam aankhon se jab wo pilane lage
log sanbhle hue laDkhaDane lage
aaj phir mujh ko un ka KHayal aa gaya
ashk aankhon mein phir jhilmilane lage
be-wafai nahin hai mere KHun mein
ye samajhne mein un ko zamane lage
be-gharaz jo kisi se mile hi nahin
dosti ke wo ma'ni batane lage
hum to apne masail mein uljhe rahe
chand par log basti basane lage
ye hua hai asar gardish-e-waqt ka
hum se apne bhi nazren churane lage
zulm dahshat ka wo daur aaya ki hum
apne sae se bhi KHauf khane lage
'aks' rab ka ye ehsan hum par hua
tair-e-fikr hum bhi uDane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.