jab tere siwa koi mere kaam na aae
jab tere sivā koī mire kaam na aa.e
kyoñ lab pe mohabbat se tirā naam na aa.e
khilte hī raheñ donoñ gulāboñ kī tarah se
āġhāz mahaktā rahe anjām na aa.e
paḌtī hī raheñ ziist pe ḳhurshīd kī kirneñ
ab sub.h ke aalam pe ruḳh-e-shām na aa.e
hotā hī rahe kaif-e-mohabbat meñ izāfa
nazdīk kabhī gardish-e-ayyām na aa.e
Daale hai musībat meñ na rakkhe hai kahīñ kā
allāh kisī par dil-e-nākām na aa.e
rāhoñ meñ nazar aate haiñ ab husn ke jalve
us shoḳh se kah do ki lab-e-bām na aa.e
jitne bhī ho ilzām sab aa jaa.eñ mire sar
par tujh pe kisī baat kā ilzām na aa.e
ye kis meñ hai himmat ki mire jaan nikāle
jab tak ki mujhe maut kā paiġhām na aa.e
piitā rahūñ bad-mast nigāhoñ se mai-e-shauq
phir ġham nahīñ hāthoñ meñ mire jaam na aa.e
ai 'yās' bas ab vo hī madad-gār hai apnā
koī bhī yahāñ is ke sivā kaam na aa.e
jab tere siwa koi mere kaam na aae
kyon lab pe mohabbat se tera nam na aae
khilte hi rahen donon gulabon ki tarah se
aaghaz mahakta rahe anjam na aae
paDti hi rahen zist pe KHurshid ki kirnen
ab subh ke aalam pe ruKH-e-sham na aae
hota hi rahe kaif-e-mohabbat mein izafa
nazdik kabhi gardish-e-ayyam na aae
Dale hai musibat mein na rakkhe hai kahin ka
allah kisi par dil-e-nakaam na aae
rahon mein nazar aate hain ab husn ke jalwe
us shoKH se kah do ki lab-e-baam na aae
jitne bhi ho ilzam sab aa jaen mere sar
par tujh pe kisi baat ka ilzam na aae
ye kis mein hai himmat ki mere jaan nikale
jab tak ki mujhe maut ka paigham na aae
pita rahun bad-mast nigahon se mai-e-shauq
phir gham nahin hathon mein mere jam na aae
ai 'yas' bas ab wo hi madad-gar hai apna
koi bhi yahan is ke siwa kaam na aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.