jab tere tasawwur se taslim ki shah pai
jab tere tasavvur se taslīm ki shah paa.ī
chup-chāp rahā shā.ir Dastī rahī tanhā.ī
sad-rang gulistāñ haiñ raqsāñ pas-e-manzar meñ
allāh re is gul kī ye anjuman-ārā.ī
shāyad tirī yādoñ se kuchh is kā ta'alluq hai
ik aag lagā baiThī ye duur kī shahnā.ī
ye ijz-e-hunar kab hai iz.hār-e-haqīqat hai
imkān se aage hai zarrāt kī pahnā.ī
shā.ir kī ibādat hai mahtāb ke mandir meñ
tere but-e-sīmīñ ke qadmoñ pe jabīñ-sā.ī
'qāzī' mire siine kī ye aag sulagtī sī
bhīgī huī rātoñ ne kuchh aur bhī bhaḌkā.ī
jab tere tasawwur se taslim ki shah pai
chup-chap raha shair Dasti rahi tanhai
sad-rang gulistan hain raqsan pas-e-manzar mein
allah re is gul ki ye anjuman-arai
shayad teri yaadon se kuchh is ka ta'alluq hai
ek aag laga baiThi ye dur ki shahnai
ye ijz-e-hunar kab hai izhaar-e-haqiqat hai
imkan se aage hai zarraat ki pahnai
shair ki ibaadat hai mahtab ke mandir mein
tere but-e-simin ke qadmon pe jabin-sai
'qazi' mere sine ki ye aag sulagti si
bhigi hui raaton ne kuchh aur bhi bhaDkai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.