Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab tilism-e-qufl-e-abjad khul gaya

Ghulam Husain Sajid

jab tilism-e-qufl-e-abjad khul gaya

Ghulam Husain Sajid

MORE BYGhulam Husain Sajid

    jab tilism-e-qufl-e-abjad khul gayā

    hāsil-e-guftār-e-sarmad khul gayā

    TuuT kar aa.ī hai us gul par bahār

    jism lau dene lagā qad khul gayā

    sub.h laa.ī hai rihā.ī naved

    āsmāñ khulte gumbad khul gayā

    kār-zār-e-ishq meñ aane ke ba.ad

    rañg-e-mīrās-e-ab-o-jad khul gayā

    ḳhud-baḳhud aayā hai lab par us naam

    ruuh par unvān-e-arshad khul gayā

    reg-e-sahrā le uḌī bād-e-shimāl

    dasht gum hote ma.abad khul gayā

    aa ga.ī 'sājid' zabāñ par dil baat

    aaj āḳhir un maqsad khul gayā

    jab tilism-e-qufl-e-abjad khul gaya

    hasil-e-guftar-e-sarmad khul gaya

    TuT kar aai hai us gul par bahaar

    jism lau dene laga qad khul gaya

    subh lai hai rihai ki nawed

    aasman khulte hi gumbad khul gaya

    kar-zar-e-ishq mein aane ke baad

    rang-e-miras-e-ab-o-jad khul gaya

    KHud-baKHud aaya hai lab par us ka nam

    ruh par unwan-e-arshad khul gaya

    reg-e-sahra le uDi baad-e-shimal

    dasht gum hote hi mabad khul gaya

    aa gai 'sajid' zaban par dil ki baat

    aaj aaKHir un ka maqsad khul gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now