jab tere hijr ke aasar nazar aate hain
jab tire hijr ke āsār nazar aate haiñ
mujh ko phūloñ meñ bhī phir ḳhaar nazar aate haiñ
muuñd liiñ is liye barbādī pe āñkheñ maiñ ne
mere apne hī zimmedār nazar aate haiñ
yā vahī buġhz vahī kiina vahī nafrat hai
yā mohabbat ke bhī āsār nazar aate haiñ
maiñ havāoñ ke ta.āqub meñ bhaTak jaatī huuñ
phir ishāre mujhe be-kār nazar aate haiñ
maiñ bulandī se girā.ī ga.ī jis mehnat se
is meñ apnoñ ke bhī kirdār nazar aate haiñ
shash-jihat dukh ke haiñ ambār hī poshīda yahāñ
jis qadar haiñ pas-e-dīvār nazar aate haiñ
aañkh lagtī hai to maiñ ḳhauf se uTh jaatī huuñ
ḳhvāb meñ qāfile ḳhūñ-ḳhār nazar aate haiñ
jab tere hijr ke aasar nazar aate hain
mujh ko phulon mein bhi phir KHar nazar aate hain
mund lin is liye barbaadi pe aankhen main ne
mere apne hi zimmedar nazar aate hain
ya wahi bughz wahi kina wahi nafrat hai
ya mohabbat ke bhi aasar nazar aate hain
main hawaon ke taaqub mein bhaTak jati hun
phir ishaare mujhe be-kar nazar aate hain
main bulandi se girai gai jis mehnat se
is mein apnon ke bhi kirdar nazar aate hain
shash-jihat dukh ke hain ambar hi poshida yahan
jis qadar hain pas-e-diwar nazar aate hain
aankh lagti hai to main KHauf se uTh jati hun
KHwab mein qafile KHun-KHar nazar aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.