jab teri bazm se uTh kar koi nashad aaya
jab tirī bazm se uTh kar koī nāshād aaya
apne anjām kā āġhāz mujhe yaad aaya
merī barbādī meñ kyā koī kasar baaqī hai
aap kā husn-e-taġhāful jo mujhe yaad aaya
ḳhair guzrī ki zabāñ par na shikāyat aa.ī
zikr-e-bedād tirā jab sitam-ījād aaya
aap kahiye ki hai āḳhir ye kahāñ kā insāf
jab gulistāñ meñ bahār aa.ī to sayyād aaya
ye muqaddar hai tajassus meñ sukūn-e-dil ke
dair meñ pahuñche to ka.abe kā ḳhudā yaad aaya
qissa-e-ranj-o-alam aaj sunāne 'zaidī'
terī sarkār meñ pahuñchā thā na kuchh yaad aaya
jab teri bazm se uTh kar koi nashad aaya
apne anjam ka aaghaz mujhe yaad aaya
meri barbaadi mein kya koi kasar baqi hai
aap ka husn-e-taghaful jo mujhe yaad aaya
KHair guzri ki zaban par na shikayat aai
zikr-e-bedad tera jab sitam-ijad aaya
aap kahiye ki hai aaKHir ye kahan ka insaf
jab gulistan mein bahaar aai to sayyaad aaya
ye muqaddar hai tajassus mein sukun-e-dil ke
dair mein pahunche to kabe ka KHuda yaad aaya
qissa-e-ranj-o-alam aaj sunane 'zaidi'
teri sarkar mein pahuncha tha na kuchh yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.