jab teri begangi ke gham se ghabraata hun main
jab tirī begāngī ke ġham se ghabrātā huuñ maiñ
mujh ko samjhātā hai dil aur dil ko samjhātā huuñ maiñ
shauq se ai bevafā tū ab manā jashn-e-tarab
kah diyā jaane ko tū ne le chalā jaatā huuñ maiñ
kis ne mujh ko de diyā āvārgī kā silsila
kū-ba-kū sahrā-ba-sahrā Thokareñ khātā huuñ maiñ
mujh se pūchho maiñ batā.ūñ talḳhī-e-kaif-o-nashāt
sāz-e-ġham par ab tarāne pyaar ke gaatā huuñ maiñ
chārāgar tū jā tujhe dūñgā duā.eñ umr bhar
zaḳhm riste haiñ to ik lazzat na.ī paatā huuñ maiñ
un ke ġham kī pāsdārī ab hai farz-e-avvalīñ
har ḳhushī un kī ḳhushī ke aage Thukrātā huuñ maiñ
tajrabe pichhlī bahāroñ ke haiñ mere sāmne
muskurātā hai jo koī phuul Dar jaatā huuñ maiñ
jab teri begangi ke gham se ghabraata hun main
mujh ko samjhata hai dil aur dil ko samjhata hun main
shauq se ai bewafa tu ab mana jashn-e-tarab
kah diya jaane ko tu ne le chala jata hun main
kis ne mujh ko de diya aawargi ka silsila
ku-ba-ku sahra-ba-sahra Thokaren khata hun main
mujh se puchho main bataun talKHi-e-kaif-o-nashat
saz-e-gham par ab tarane pyar ke gata hun main
chaaragar tu ja tujhe dunga duaen umr bhar
zaKHm riste hain to ek lazzat nai pata hun main
un ke gham ki pasdari ab hai farz-e-awwalin
har KHushi un ki KHushi ke aage Thukraata hun main
tajrabe pichhli bahaaron ke hain mere samne
muskuraata hai jo koi phul Dar jata hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.