jab teri chah mein daman-e-junun chaak hua
jab tirī chaah meñ dāmān-e-junūñ chaak huā
phir kahīñ jā ke mujhe ishq kā idrāk huā
yuuñ to ik jaise nazar aate haiñ chehre lekin
koī ḳhush-ḳhvāb huā aur koī ġhamnāk huā
varaq-jāñ pe likhe maiñ ne sahīfe dil ke
is havāle se bhī maiñ sho.ala-e-be-bāk huā
koī mar ke bhī zamāne meñ amar hotā hai
aur koī jiite hue bhī jasad-e-ḳhāk huā
jis kī lahroñ se janam lete haiñ sandal se badan
us samundar kā ba-sad shauq maiñ pairāk huā
ai 'ḳhayāl' ā.ina-e-husn-e-mujassam kī qasam
ḳhaak par baiTh ke maiñ sāhab-e-aflāk huā
jab teri chah mein daman-e-junun chaak hua
phir kahin ja ke mujhe ishq ka idrak hua
yun to ek jaise nazar aate hain chehre lekin
koi KHush-KHwab hua aur koi ghamnak hua
waraq-jaan pe likhe main ne sahife dil ke
is hawale se bhi main shoala-e-be-bak hua
koi mar ke bhi zamane mein amar hota hai
aur koi jite hue bhi jasad-e-KHak hua
jis ki lahron se janam lete hain sandal se badan
us samundar ka ba-sad shauq main pairak hua
ai 'KHayal' aaina-e-husn-e-mujassam ki qasam
KHak par baiTh ke main sahab-e-aflak hua
- Book : Tujhe ky Maloom (Pg. 87)
- Author : Rafique Khayaal
- Publication : Alhamd Publications (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.