jab teri yaad mein machalta hai
jab tirī yaad meñ machaltā hai
dil sañbhāle nahīñ sañbhaltā hai
chashm-e-pur-nam pe us kī hairāñ huuñ
kaise patthar kā dil pighaltā hai
us meñ aayā tire shabāb kā rang
tere hāthoñ jo jaam Dhaltā hai
mujh tak aane kī raah raushan hai
na jale sham' dil to jaltā hai
kyoñ patañge ko sham' kī hai talāsh
jalne vaalā to yuuñ hī jaltā hai
daur-e-mai par nigāh hai kis kī
mast āñkhoñ kā daur chaltā hai
dil meñ mere kahāñ añdherā hai
aarzū kā charāġh jaltā hai
tum ko aa.e ki yā na aa.e raas
vaqt to karvaTeñ badaltā hai
silsile aarzū ke chalte haiñ
dil kā armān kab nikaltā hai
jaisī terī nazar badaltī hai
vaise duniyā kā ruḳh badaltā hai
laḌkhaḌāyā to pā gayā manzil
jo bhī sambhlā hai haath maltā hai
jazba-e-dushmanī bhī aaj 'habīb'
pahlū-e-dostī meñ paltā hai
jab teri yaad mein machalta hai
dil sanbhaale nahin sanbhalta hai
chashm-e-pur-nam pe us ki hairan hun
kaise patthar ka dil pighalta hai
us mein aaya tere shabab ka rang
tere hathon jo jam Dhalta hai
mujh tak aane ki rah raushan hai
na jale sham' dil to jalta hai
kyon patange ko sham' ki hai talash
jalne wala to yun hi jalta hai
daur-e-mai par nigah hai kis ki
mast aankhon ka daur chalta hai
dil mein mere kahan andhera hai
aarzu ka charagh jalta hai
tum ko aae ki ya na aae ras
waqt to karwaTen badalta hai
silsile aarzu ke chalte hain
dil ka arman kab nikalta hai
jaisi teri nazar badalti hai
waise duniya ka ruKH badalta hai
laDkhaDaya to pa gaya manzil
jo bhi sambhla hai hath malta hai
jazba-e-dushmani bhi aaj 'habib'
pahlu-e-dosti mein palta hai
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 69)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.