jab tohmaten wo mujh pe lagane pe aa gaya
jab tohmateñ vo mujh pe lagāne pe aa gayā
maiñ bhī use nazar se girāne pe aa gayā
lahja badal ke baat to karnā paḌī magar
us kā dimāġh apne Thikāne pe aa gayā
in sar-phirī havāoñ ko hogī shikast-e-fāsh
maiñ gar charāġh apnā jalāne pe aa gayā
āvāz jab na dab sakī merī kisī tarah
kam-zarf phir vo mujh ko miTāne pe aa gayā
un kī fanā thā merā ubhartā huā vajūd
maiñ is liye bhī sab ke nishāne pe aa gayā
ham ko miTāne vaale kabhī dekh aa.ina
tū ḳhud tabāhiyoñ ke dahāne pe aa gayā
dushman ko apne bebas o māyūs dekh kar
maiñ ḳhud hī jā ke us ke nishāne pe aa gayā
us ne 'farāz' jab kiyā ġhairoñ kā tazkira
phir maiñ bhī apne sher sunāne pe aa gayā
jab tohmaten wo mujh pe lagane pe aa gaya
main bhi use nazar se girane pe aa gaya
lahja badal ke baat to karna paDi magar
us ka dimagh apne Thikane pe aa gaya
in sar-phiri hawaon ko hogi shikast-e-fash
main gar charagh apna jalane pe aa gaya
aawaz jab na dab saki meri kisi tarah
kam-zarf phir wo mujh ko miTane pe aa gaya
un ki fana tha mera ubharta hua wajud
main is liye bhi sab ke nishane pe aa gaya
hum ko miTane wale kabhi dekh aaina
tu KHud tabahiyon ke dahane pe aa gaya
dushman ko apne bebas o mayus dekh kar
main KHud hi ja ke us ke nishane pe aa gaya
us ne 'faraaz' jab kiya ghairon ka tazkira
phir main bhi apne sher sunane pe aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.