jab tujhe milne ki tadbir nai hoti hai
jab tujhe milne kī tadbīr na.ī hotī hai
sūrat-e-gardish-e-taqdīr na.ī hotī hai
munhadim hotā huuñ har aan pas-e-harf-e-kuhan
tab kahīñ sher kī ta.abīr na.ī hotī hai
kaise lauTā maiñ tire dast-e-zamāna-gar meñ
tere chhūne se to tasvīr na.ī hotī hai
vaqt de jaa.e jise yaad purānī koī
roz us harf kī tāsīr na.ī hotī hai
ik ajab kaif meñ chaltā huuñ sar-e-dasht-e-balā
jab mire paañv meñ zanjīr na.ī hotī hai
ham badalte nahīñ 'armān' kabhī jāh-o-hasham
haañ isī ḳhvāb kī ta.abīr na.ī hotī hai
jab tujhe milne ki tadbir nai hoti hai
surat-e-gardish-e-taqdir nai hoti hai
munhadim hota hun har aan pas-e-harf-e-kuhan
tab kahin sher ki tabir nai hoti hai
kaise lauTa main tere dast-e-zamana-gar mein
tere chhune se to taswir nai hoti hai
waqt de jae jise yaad purani koi
roz us harf ki tasir nai hoti hai
ek ajab kaif mein chalta hun sar-e-dasht-e-bala
jab mere panw mein zanjir nai hoti hai
hum badalte nahin 'arman' kabhi jah-o-hasham
han isi KHwab ki tabir nai hoti hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 406)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.