jab tumne mera nam pukara KHushi KHushi
jab tum ne merā naam pukārā ḳhushī ḳhushī
maiñ ho gayā thā tab se tumhārā ḳhushī ḳhushī
dariyā ke jaisī tum meñ nazākat hai is liye
dariyā meñ apnā pair utārā ḳhushī ḳhushī
māñgā tumheñ ḳhudā se to us vaqt jān-e-jāñ
TuuTā falak se ek sitārā ḳhushī ḳhushī
mujh ko hai rahnumā kī zarūrat so aaj tum
merā bhī haath thaam lo yaarā ḳhushī ḳhushī
behtar hai us ke 'ishq meñ furqat na ho kabhī
maiñ is liye hī jang meñ haarā ḳhushī ḳhushī
maiñ zindagī kī maar se girne lagūñ agar
to yaar mujh ko denā sahārā ḳhushī ḳhushī
jis husn ko ġhazal ye sunā doge tum 'mukesh'
ho jā.egā vo yaar tumhārā ḳhushī ḳhushī
jab tum ne mera nam pukara KHushi KHushi
main ho gaya tha tab se tumhaara KHushi KHushi
dariya ke jaisi tum mein nazakat hai is liye
dariya mein apna pair utara KHushi KHushi
manga tumhein KHuda se to us waqt jaan-e-jaan
TuTa falak se ek sitara KHushi KHushi
mujh ko hai rahnuma ki zarurat so aaj tum
mera bhi hath tham lo yara KHushi KHushi
behtar hai us ke 'ishq mein furqat na ho kabhi
main is liye hi jang mein haara KHushi KHushi
main zindagi ki mar se girne lagun agar
to yar mujh ko dena sahaara KHushi KHushi
jis husn ko ghazal ye suna doge tum 'mukesh'
ho jaega wo yar tumhaara KHushi KHushi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.