jab tumhaare KHat ko maine nazr-e-atish kar diya
jab tumhāre ḳhat ko maiñ ne nazr-e-ātish kar diyā
ek ik lafz-e-vafā ne duur tak pīchhā kiyā
āḳhirī tahrīr thī un kī ye maiñ ne kyā kiyā
ḳhud bhī tanhā ho gayā un ko bhī tanhā kar diyā
jaane kis rau meñ tumhārā naam lab par aa gayā
shahr vāloñ ne bas itnī baat par rusvā kiyā
dil meñ rah jā.eñgī kitnī an-kahī bāteñ magar
vaqt saare zaḳhm bhar de gā ye tum ne kyā kahā
rabt-e-dil kā TūTnā āsāñ nahīñ itnā abhī
dāman-e-ehsās hai hālāt se uljhā huā
kitne taare raat kī āñkhoñ se TuuTe haiñ magar
merī palkoñ par hai ik taarā abhī Thahrā huā
haal kī tanhā.iyoñ meñ yuuñ bhī yaad ā.eñge aap
nashtar-e-māzī mire pahlū meñ hai utrā huā
ai mire monis mire hamdam rafīq-e-āshnā
jab tak apnī yaad baaqī hai tujhe bhūlūñgā kyā
ham ne jis misre pe 'nayyar' ḳhatm kī apnī ġhazal
har dil-e-dard-āshnā mahfil meñ nam-dīda huā
jab tumhaare KHat ko main ne nazr-e-atish kar diya
ek ek lafz-e-wafa ne dur tak pichha kiya
aaKHiri tahrir thi un ki ye main ne kya kiya
KHud bhi tanha ho gaya un ko bhi tanha kar diya
jaane kis rau mein tumhaara nam lab par aa gaya
shahr walon ne bas itni baat par ruswa kiya
dil mein rah jaengi kitni an-kahi baaten magar
waqt sare zaKHm bhar de ga ye tum ne kya kaha
rabt-e-dil ka TuTna aasan nahin itna abhi
daman-e-ehsas hai haalat se uljha hua
kitne tare raat ki aankhon se TuTe hain magar
meri palkon par hai ek tara abhi Thahra hua
haal ki tanhaiyon mein yun bhi yaad aaenge aap
nashtar-e-mazi mere pahlu mein hai utra hua
ai mere monis mere hamdam rafiq-e-ashna
jab tak apni yaad baqi hai tujhe bhulunga kya
hum ne jis misre pe 'nayyar' KHatm ki apni ghazal
har dil-e-dard-ashna mahfil mein nam-dida hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.