jab us ka zikr meri guftugu mein rahta hai
jab us kā zikr mirī guftugū meñ rahtā hai
koī charāġh sā raushan lahū meñ rahtā hai
ye aur kis kī sadā gūñjtī hai sahrā meñ
mire sivā koī bhī dasht-e-hū meñ rahtā hai
mire harīf se merā mukālima hai vahī
jo roz-e-jang kamān-o-gulū meñ rahtā hai
ye raushnī jo idhar hai to merī saf kā zarūr
koī sitāra sipāh-e-'adū meñ rahtā hai
vo jis kī aañkh meñ vahshat kā rang raushan hai
vahī ġhazāl mirī justujū meñ rahtā hai
badan meñ jaise koī phuul khilne lagtā hai
'ajīb tajraba kār-e-numū meñ rahtā hai
maiñ saare zaḳhm zamāne ke siitā rahtā huuñ
ravāñ ye haath hamesha rafū meñ rahtā hai
nihāñ haiñ jis kī har ik mauj meñ nahang 'anīs'
mirā safīna usī aabjū meñ rahtā hai
jab us ka zikr meri guftugu mein rahta hai
koi charagh sa raushan lahu mein rahta hai
ye aur kis ki sada gunjti hai sahra mein
mere siwa koi bhi dasht-e-hu mein rahta hai
mere harif se mera mukalima hai wahi
jo roz-e-jang kaman-o-gulu mein rahta hai
ye raushni jo idhar hai to meri saf ka zarur
koi sitara sipah-e-'adu mein rahta hai
wo jis ki aankh mein wahshat ka rang raushan hai
wahi ghazal meri justuju mein rahta hai
badan mein jaise koi phul khilne lagta hai
'ajib tajraba kar-e-numu mein rahta hai
main sare zaKHm zamane ke sita rahta hun
rawan ye hath hamesha rafu mein rahta hai
nihan hain jis ki har ek mauj mein nahang 'anis'
mera safina usi aabju mein rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.