jab uski hi agar marzi nahin hai
jab us kī hī agar marzī nahīñ hai
kisī kī phir yahāñ chaltī nahīñ hai
yahāñ pe maut bhī sastī nahīñ hai
piyāla hai magar whiskey nahīñ hai
ye samjheñ dekh kar duniyā ke ġham ko
hamārā ġham abhī kuchh bhī nahīñ hai
mohabbat class hai jis meñ kabhī bhī
ḳhayāl-e-yār se chhuTTī nahīñ hai
hamāre paas le ke ā.īye dil
hamārī husn se bantī nahīñ hai
sadā to duur na.iiñ hai raushnī bhī
dar-e-zindān hai khiḌkī nahīñ hai
jab us ki hi agar marzi nahin hai
kisi ki phir yahan chalti nahin hai
yahan pe maut bhi sasti nahin hai
piyala hai magar whiskey nahin hai
ye samjhen dekh kar duniya ke gham ko
hamara gham abhi kuchh bhi nahin hai
mohabbat class hai jis mein kabhi bhi
KHayal-e-yar se chhuTTi nahin hai
hamare pas le ke aaiye dil
hamari husn se banti nahin hai
sada to dur nain hai raushni bhi
dar-e-zindan hai khiDki nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.